Yeh Dil Tum Bin Kahin Lagta Nahin

Yeh dil tum bin kahin lagta nahin

  • Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
  • Hum kya karein
  • Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
  • Hum kya karein
  • Tasavvur mein koi basta nahin
  • Hum kya karein
  • Tumhi keh do ab aye jaan-e-wafa
  • Hum kya karein
  • Lute dil mein diya jalta nahin
  • Hum kya karein
  • Tumhi keh do ab aye jaane-adaa
  • Hum kya karein
  • Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
  • Hum kya karein
  • Kisi ke dil mein bas ke
  • Dil ko tadpana nahin achchha
  • Kisi ke dil mein bas ke
  • Dil ko tadpana nahin achchha
  • Nigahon ko jhalak de de ke
  • Chhup jana nahin achchha
  • Ummeedon ke khile gulshan ko
  • Jhulsana nahin achchha
  • Hamein tum bin koi janchta nahin
  • Hum kya karein
  • Tumhi keh do ab aye jaane-adaa
  • Hum kya karein
  • Lute dil mein diya jalta nahin
  • Hum kya karein
  • Mohabbat kar to lein lekin
  • Mohabbat raas aaye bhi
  • Mohabbat kar to lein lekin
  • Mohabbat raas aaye bhi
  • Dilon ko bojh lagte hain
  • Kabhi zulfon ke saaye bhi
  • Hazaaron gham hain is duniya mein
  • Apne bhi paraaye bhi
  • Mohabbat hi ka gham tanha nahin
  • Hum kya karein
  • Tumhi keh do ab aye jaan-e-adaa
  • Hum kya karein
  • Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
  • Hum kya karein
  • Bujha do aag dil ki
  • Ya ise khul kar hawa de do
  • Bujha do aag dil ki
  • Ya ise khul kar hawa de do
  • Jo iska mol de paaye
  • Use apni wafa de do
  • Tumhare dil mein kya hai bas
  • Hamein itna pata de do
  • Ke ab tanha safar kat-ta nahin
  • Hum kya karein
  • Lute dil mein diya jalta nahin
  • Hum kya karein
  • Yeh dil tum bin kahin lagta nahin
  • Hum kya karein
00:00
-00:00
Xem chi tiết bài hát
Let's listen to my solo!

48 3 5150

7-11 21:44 iPhone XR

Quà

Tổng: 0 1

Bình luận 3