Main Shayar To Nahin

Main shaayar to nahin

  • Main shaayar to nahin
  • Main shaayar to nahin magar ae haseen
  • Jab se dekha maine tujhko
  • Mujhko shaayari aa gayi
  • Main shaayar to nahin magar ae haseen
  • Jab se dekha maine tujhko
  • Mujhko shaayari aa gayi
  • Main aashiq to nahin magar ae haseen
  • Jab se dekha maine tujhko
  • Mujhko aashiqui aa gayi
  • Main shaayar to nahin
  • Pyaar ka naam maine suna tha magar
  • Pyaar kya hai yeh mujhko nahin thi khabar
  • Pyaar ka naam maine suna tha magar
  • Pyaar kya hai yeh mujhko nahin thi khabar
  • Main to uljha raha uljhanon ki tarha
  • Doston mein raha dushmanon ki tarha
  • Main dushman to nahin
  • Main dushman to nahin magar ae haseen
  • Jab se dekha maine tujhko
  • Mujhko dosti aa gayi
  • Main shaayar to nahin
  • Sochta hoon agar main dua maangta
  • Haath apne uthaakar main kya maangta
  • Sochta hoon agar main dua maangta
  • Haath apne uthaakar main kya maangta
  • Jab se tujhse mohabbat main karne laga
  • Tab se jaise ibaadat main karne laga
  • Main kaafir to nahin
  • Main kaafir to nahin magar ae haseen
  • Jab se dekha maine tujhko
  • Mujhko bandagi aa gayi
  • Main shaayar to nahin magar ae haseen
  • Jab se dekha maine tujhko
  • Mujhko shaayari aa gayi
  • Main shaayar to nahin
00:00
-00:00
Lihat butiran lagu
Nahi Nahi 😄

31 1 1

2021-1-10 17:05 samsungSM-N935F

Carta hadiah

Jumlah: 0 11

Komen 1