Banjaara

Jise zindagi dhoondh rahi hai

  • Jise zindagi dhoondh rahi hai
  • Kya ye woh makaam mera hai
  • Yahaan chain se bas ruk jaaun
  • Kyun dil ye mujhe kehta hai
  • Jazbaat naye se mile hain
  • Jaane kya asar ye huaa hai
  • Ik aas mili phir mujhko
  • Jo qubool kisi ne kiya hai
  • Kisi shaayar ki ghazal
  • Jo de rooh ko sukoon ke pal
  • Koi mujhko yun mila hai
  • Jaise banjaare ko ghar
  • Naye mausam ki sehar
  • Yaa sard mein dopahar
  • Koi mujhko yun mila hai
  • Jaise banjare ko ghar
  • Jaise koi kinaara
  • Deta ho sahaara
  • Mujhe wo mila kisi mod par
  • Koi raat ka taara
  • Karta ho ujaala
  • Waise hi roshan kare woh shehar
  • Dard mere woh bhula hi gayaa
  • Kuch aisa asar huaa
  • Jeena mujhe phir se woh sikha raha
  • Hmm jaise baarish kar de tar
  • Yaa marham dard par
  • Koi mujhko yun mila hai
  • Jaise banjare ko ghar
  • Naye mausam ki sehar
  • Yaa sard mein dopahar
  • Koi mujhko yun mila hai
  • Jaise banjaare ko ghar
  • Muskaata yeh chehra
  • Deta hai jo pehraa
  • Jaane chhupata kya dil ka samandar
  • Auron ko toh hardam saaya deta hai
  • Woh dhoop mein hai khada khud magar
  • Chot lagi hai usey
  • Phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai
  • Dil tu bata de kya hai iraada tera
  • Main parinda besabar
  • Tha uda jo darbadar
  • Koi mujhko yun mila hai
  • Jaise banjarey ko ghar
  • Naye mausam ki sehar
  • Yaa sard mein dopahar
  • Koi mujhko yun mila hai
  • Jaise banjarey ko ghar
  • Jaise banjare ko ghar
  • Jaise banjare ko ghar
  • Jaise banjare ko ghar
00:00
-00:00
Xem chi tiết bài hát
thanks senja🙏🏻😂😂

205 9 1

2023-5-1 20:49

Quà

Tổng: 1 2000

Bình luận 9