Zaroori Tha

Lafj kitne hi tere pairon se lipte honge

  • Lafj kitne hi tere pairon se lipte honge
  • Tune jab aakhiri khat mera jalayaa hoga
  • Tune jab phool kitaabon se nikale honge
  • Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga
  • Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
  • Mohabbat bhi zaroori thi bichadna bhi zaroori tha
  • Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte
  • Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha
  • Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
  • Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha
  • Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha
  • Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh mein padhte ho
  • Mohabbat ki namazo ko qaza karne se darte ho
  • Magar ab yaad aata hai woh baatein thi mehez baatein
  • Kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha
  • Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
  • Wahin hai sooratein apni wahin main hoon wahin tum ho
  • Magar khoya huya hoon main magar tum bhi kahin gum ho
  • Mohabbat mein daga ki thi jo kaafir the so kaafir hain
  • Mili hai manzilein phir bhi musaafir the musaafir hain
  • Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke kahaan pahunche
  • Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha
  • Mohabbat bhi zaroori thi bichadna bhi zaroori tha
  • Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte
  • Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha
  • Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
00:00
-00:00
ดูรายละเอียดเพลง
One Of my Fav. Rahatda.. just a try..

159 39 1

2018-2-19 20:23 vivo 1603

ชาร์ตของขวัญ

รวม: 0 35

ความเห็น 39