Tu Fiza Hai

Fiza Fiza Fiza hey Fiza

  • Fiza Fiza Fiza hey Fiza
  • Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahin
  • Tu ghata hai to phir kyoon barasti nahin
  • Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
  • Aa mere aashiyaane mein aa
  • Main hawa hoon kahin bhi theherti nahin
  • Ruk bhi jaaoon kahin par to rehti nahin
  • Maine tinke uthaaye hue hain paron par
  • Aashiyaana nahin hai mera
  • Ghane ek ped se mujhe
  • Jhoka koi leke aaya hai
  • Sukhe ek patte ki tarah
  • Hawa ne har taraf udaaya hai
  • Aa na aa
  • Hey aa na aa ek dafa is zameen se uthe
  • Paaon rakhe hawa par zara sa ude
  • Chal chale hum jahan koi rasta na ho
  • Koi rehta na ho koi basta na ho
  • Kehte hai aankhon mein milti hai aisi jaga
  • Fiza Fiza
  • Main hawa hoon kahin bhi theherti nahin
  • Ruk bhi jaaoon kahin par to rehti nahin
  • Maine tinke uthaaye hue hain paron par
  • Aashiyaana nahin hai mera
  • Tum mile to kyoon laga mujhe
  • Khud se mulaaqaat ho gayi
  • Kuch bhi to kaha nahin magar
  • Zindagi se baat ho gayi
  • Aa na aa
  • Hey aa na aa saat baithe zara der to
  • Haath thaame rahe aur kuch na kahe
  • Chhooke dekhe to aankhon ki khaamoshiyaan
  • Kitni chup chaap hoti hai sargoshiyaan
  • Sunte hai aankhon mein hoti hai aisi sada
  • Fiza Fiza
  • Tu hawa hai fiza hai zameen ki nahin
  • Tu ghata hai to phir kyoon barasti nahin
  • Udti rehti hai tu panchhiyon ki tarah
  • Aa mere aashiyaane mein aa
  • Main hawa hoon kahin bhi theherti nahin
  • Ruk bhi jaaoon kahin par to rehti nahin
  • Maine tinke uthaaye hue hain paron par
  • Aashiyaana nahin hai mera
00:00
-00:00
Xem chi tiết bài hát
Yang request monggo, maaf baru belajar 😁😁😁

58 2 1

2023-9-16 13:15 vivo 1910

Quà

Tổng: 0 22

Bình luận 2