Kyon Hawa

Ek din jab savere savere

  • Ek din jab savere savere
  • Surmayee se andher ki chaadar hataa ke
  • Ek parbat ke takiye se
  • Sooraj ne sar jo uthaayaa to dekhaa
  • Dil ki waadi mein chaahat kaa mausam hai
  • Aur yaadon ki daaliyon par
  • Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahakne lagi hain
  • Ankahi ansuni aarzoo
  • Aadhi soyee huyee aadhi jaagi huyee
  • Aankhein maltey huey dekhti hai
  • Lahar dar lahar mauj dar mauj bahti huyee zindagi
  • Jaise har ek pal nayee hai
  • Aur phir bhi wahi hai
  • Haan wahi zindagi
  • Jiske daaman mein koi mohabbat bhi hai
  • Koi hasrat bhi hai
  • Paas aanaa bhi hai
  • Door jaanaa bhi hai
  • Aur yeh ahsaas hai
  • Waqt jharne saa bahtaa huaa jaa rahaa hai ye kahtaa huaa
  • Dil ki vaadi mein chaahat kaa mausam hai
  • Aur yaadon ki daaliyon par
  • Anginat beete lamahon ki kaliyaan mahakne lagi hain
  • Kyon hawa aaj yun ga rahi hai
  • Kyon hawa aaj yun ga rahi hai
  • Kyon fiza rang chhalka rahi hai
  • Mere dil bata aaj hona hai kya
  • Chaandni din mein kyun chha rahi hai
  • Zindagi kis taraf ja rahi hai
  • Mere dil bata kya hai ye silsila
  • Kyon hawa aaj yun ga rahi hai
  • Ga rahi hai ga rahi hai
  • Jahan tak bhi jayein nigahein
  • Baraste hain jaise ujale
  • Jahan tak bhi jayein nigahein
  • Baraste hain jaise ujale
  • Saji aaj kyun hain ye raahein
  • Khile phool kyun hain nirale
  • Khushbuein kaisi ye bah rahi hain
  • Dhadkanein jane kya kah rahi hai
  • Mere dil bata ye kahani hai kya
  • Kyon hawa aaj yun ga rahi hai
  • Ga rahi hai ga rahi hai
  • Yeh kiska hai chehra jise main
  • Har ek phool mein dekhta hoon
  • Yeh kiska hai chehra jise main
  • Har ek phool mein dekhta hoon
  • Yeh kiski hai aawaz jisko
  • Na sun ke bhi main sun raha hoon
  • Kaisi ye aahtein aa rahi hain
  • Kaise ye khwab dikhla rahi hain
  • Mere dil bata kaun hai aa raha
  • Kyon hawa aaj yun ga rahi hai
  • Ga rahi hai ga rahi hai
00:00
-00:00
Lihat rincian lagu
Latah Mangeshkar mana?😅sempat engap aku😂

78 7 1

2020-4-2 12:09 RealmeRMX1821

Tangga lagu hadiah

Total: 0 3

Komentar 7